Saturday, 7 June 2014

Ek hi baat zamane ki kitabon mein nahin,
Jo gham-e-dost mein nasha hai sharabon mein nahin.

Husn ki bheekh na mangenge na jalvon ki kabhi,
Hum faqeeron se milo khul ke, hijaabon mein nahin.

Har jagah phirte hain aawara khayaalon kii tarah,
Yeh alag baat hai hum aapke khwabon mein nahin.

Na dubo saagar-o-meena mein yeh gham aye �fakir�,
Ke muqaam inka dilon mein hai, sharaabon mein nahin.

No comments:

Post a Comment