Mehfil jab lagi thi yaaro ki, mujhko bhi bulawa aaya tha.
.
Kaise ,na jate hum?... Unki kasmein dekar jo bulwaya
tha.
.
Jab kehne ko kuch kaha gaya, to khayal unka hi aaya
tha.
Fir akshr-akshr jod k maine,dil ka dard sunaya tha.
Tab aansu uski yado k, na-na krte nikal gye.
;-(
Jo smjhe wo khamosh rhe, baaki WAH WAH krte
nikl gye....!
वो दिल क्या जो मिलने की दुआ न करे, तुम्हें भुलकर जिऊ यह खुदा न करे, रहे तेरी दोस्ती मेरी जिन्दगानी बनकर, यह बात और है जिन्दगी वफा न करे|
Friday, 15 May 2015
Z!ndgi Kyun aaj ajnabi $i Lgti hai.
J!ske L!ye J!ya wahi Mera Nhi Hai
Khamosh Ho Jaane Ko Jee Krta Hai..
Kahin Door Chaley Jaane Ko Jee Krta Hai..
Aansuon Ney Bhi $aath Dena Chhod D!ya Hai..
Vo Bhi Ab aankhon Mei Sukh Gaye Hain.
D!l Ney Dhadakna Zoron $ey Chhor Diya Hai.
Maayus si Z!ndgi ab Meri Ho Chali Hai..
Der Sey Hi Shi..Par Z!ndgi Ko Alv!da Kehna to Ha!,,,,,,,,,
Mar Mar k hi Sahi Par Zindgi ko jeena to hai.
Usne akhri mulaqat krke,
meri zindgi ki raat kardi..!
Abhi thik se usko jana bhi nahi tha,
ki usne jane ki baat kardi..!
Jise naaz tha gurbat pe meri,
Usne shaan paiso ki dikha kr,
zahir meri aukaat kardi..!
Jiske lahjey me sirf hum tum hua karte the..
Aaj usne sharminda mujhe,
puch kar meri jaat kardi..!
Jiski chahat me maine zamana chhoda,
"aaj usne mujhe chhod kar,
wahi siyasat mere sath kardi
Fasley Aisey Bhi HoOnge Ye Kabhi SoOcha Na Tha,
Saamne Baitha Tha Mere Aur WoO Mera Na Tha...
WoO KhushboO Ki Tarah Phaila Tha Mere CharSoO,
Main Usey MehsoOs Kar Sakti Thi ChhoO Sakti Na Thi...
Raat Bhar Us Ki Hi Ahat Kaan Main Aati Rahi...
Jhaank Kar Dekha Gali Mein ToO Koi Bhi Aya Na Tha...
Aks ToO MaujoOd They Par Aks Tanahai Ke The,
Aaeina ToOTa Magar Us Mein Tera Chehara Na Tha...
Aj Us Ne Dard Bhi Apaney Alehda Kar Liye,
Aj Main RoOyi ToO Mere Sath WoO RoOya Na Tha...
Ye Sabhi Viraniyan Us Ke Juda HoOney Se Theen,
Aankh Dhundhalai Thi Shahar Dhundhalaya Na Tha...
Yad Kar Ke Aur Bhi Takalif HoOti Thi,
BhoOl Janey Ke Siwa KoI Chara Na Tha
In Aankho'n Ne Raat Jab Ek Chand Mukamal Dekha...
Phir Samandar Ko Bhi Humne Hote huye Pagal Dekha..
Raat Bhar Dair Tak Karte The Teri Baatei'n Hum Khud Se...
Our Raat Bhar Samne Tera Chehra Humne Pal-Pal Dekha...
Aaj Yaado'n ki Ghtaa Toot Ke Barsi Humare Dil Pe...
Aaj Hum Ne Bhi Barasta Hua Badal Dekha...
Haafza Cheen Liya Hum Se Gham-e-Dunya Ne...
Aaj Hume Bhool Gaye Wo Jise Humne Kal Dekha...
Ek Chehra Jo Bohat Hansata Tha...
Aaj Uski Aankho'n Se Bhi Behta Hua Humne Aansoo Dekha
Jo chala gaya mujhe chor ke,,
Main kabhi na usko bhula saka..
Wohi duriyaan wohi faslay,,
Main kabhi na unko mita saka..
Kya Use bhi mujh se pyar tha,,
Ya’n shayad use shaoor tha..
Wo koi ajeeb sawal tha,,
Jo mere samjh main na aa saka..
Meri zindagi ka sakoon tha wo,,
Mere dil ka aik junoon tha wo..
Yahi sochta tha main rat bhar,,
Yahi baat na main us ko bata saka..
Jo kabhi milega bahir to,,
Karunga main us se shikaytien..
Wo mila to main lab na hila saka,,
Main kabhi na usko bhula saka
Mil Kar Bhi Use Hasrat-E-Mulaqat Reh Gai
Baadal To Ghir Aye they Barsaat Reh Gai
Wo Aaj Yun Mile Ke Hamein Jante Na Ho
Lab To Mere Khule They Magar Baat Reh Gai
Mai Haar Ke Bhi Khush Hoon k Tum Jeet To Gye
Qismat Mein Meri Maat Thi So Maat Reh Gai
Daaman Mein Kya Rakha Hai Is Ke Siwa Bas
Bahkshe Jo Tune Zakhm Wo Soughaat Reh Gai
Kya Kya Badal Rahe Hain Yahan Mousam Khabar Nahi
DiL K Nagar Mein Raat Thi So Raat reh Gai
Mujhe Ishq me iljamo ki parwah nahi ,
Mai ashiq hu jurm-e-ishq ka gawah nahi,
Teri khusi isme hai to mai hajir hu samne,
Lakh sitam kar lo mere labo pe ahh nahi,
Mujhe samjha ke waqt jaaaya kar rahe ho,
Ishq me magrur log lenge kabhi salah nahi,
Chalo mana tune bhula diya hai mujhe,
Ye kahte hua kya bhingi teri nigah nahi,
Mai sar ko jhuka lu mumkin hi nahi hai,
Hai kaun badshah mujhe parwah nahi …..
Tujhe Haq Diya Hai Maine Dillagi Ka..
Aye Sanam
Tu Mere Dilse Khel Jab Tak Tera Dil Behal Na Jaye..!
Milna tha ittefaq bicharna naseeb tha,,,,
wo itne dur ho gaya jitne qareeb tha:,(:,(:,(:,(:,(
Gum ki mujh par kuch aisi najar ho gayi
Jab bhi hum hase ye aankhe nam ho gayi
Hum roye bhi toh wo jaan naa sake…aur
Wo udas b huye to hume khabar ho gayi.
Zaroori toh nahi jo khushi de usi se
pyar ho..
Kyunki.. Sacchi Mohabbat toh
aksar dil todne wale se hi hoti hai...
Monday, 11 May 2015
Kitaabo me kehte hai phool todna mana hai
Baagon me kehte hai phool todna mana hai
Phoolon se keemti cheez hain dil
Koyi nahi kehta ki dil todna mana hain…
Sunday, 10 May 2015
Teri chahat me hum zamana bhool gaye
Tere baad kisi ko apnana bhool gaye..!!
Phir laga sara janha veerana hum ko,
Jese chaman me phool mehkna bhool gye
Tumse mohabbat hai btaya sare janha ko
Yahi baat tum ko btana bool gaye….!!
Hmne mita diya jaha bhi likha tha tera nam
Bas apne dil se mitana bhool gaye..!!
Wo juda hum se muskurate huye,
Magar apni palko se aansu hatana bhool gaye.
Hamein ab kho ke kehta hai
Mujhe tum yaad aate ho,
Mujhe tum yaad aate ho..!!
Kisi ka ho ke kehta hain,
Mujhe tum yaad aate ho,
Mujhe tum yaad aate ho..!!
Samandaar tha toh zor-o-shor
Se lehrein bahata tha,
Ab qatra ho ke kehta hai,
Mujhe tum yaad aate ho,
Mujhe tum yaad aate ho..!!
Bayan karte jo haal-e-dil,
Toh yunhi muskura deti,
Wohi ab ro ke kehta hai,
Mujhe tum yaad aate ho,
Mujhe tum yaad aate ho.
Naam uska likh kar mita raha tha main,
Dil ko apne yun bahla raha tha main..!!
Na thi jisko mere pyar ki kadar ae dosto,
Ittefaq se usi ko chah raha tha main..!!
Usi diye ne jala diya mere hatho ko,
Jisko hawa se bacha raha tha main
Ab mujhe ishq ke anjaam se dar lagta h
Jab se tumne mujhe dhokha diya,
Tabse mohabbat k nam se b dar lagta hai.